Ruthi Girlfriend ko Manane k liye Perfect Emotional love Shayari - प्रेमकs सन्देश

Love Shayari, Sad Shayari, Love Story, Valentine Day.

NEW UPDATE

Home Top Ad

Post Top Ad

Tuesday, December 12, 2017

Ruthi Girlfriend ko Manane k liye Perfect Emotional love Shayari


Mai Janta hun ki tum bhi mujhse bepanah pyar karti ho…
Is bhag daud bhari duniya mai kahin kho na jaun. Bas is baat se darti ho…..
magar mai kahin bhi rahun. apna har lamha sirf tumhari yadon k naam karta hun….
Mujhe bahut jaldi tumhare sang ghar basana hai.. isi liye mai din raat kaam karta hun…
Bas isi kaam ke chakkar me main kabhi kabhi zyada hi ulajh jata hun…
Bas yahi ek wajah hai jo tumhe utna waqt naa de pata hun…
Magar tumhari kasam un mashroof lamhon me bhi tumhara hi khyal mere as pas ghumta hai…
Main jab thak kar choor ho jata hun.. to tuhari yadon ka saya haule se mera matha chumta tha….
vaise to tumhari har sahi baat ko mai zaroor manta hun….
magar jab tum galti karti ho bas tabhi tumhe danta hun……
qki tum har kisi pr ankh band karke ayetbar kar leti ho…
duniya me sab lagte hai tumhe sacche.. sabko apna fufa samjhti ho…..
abhi duniya ki tumhe samjh nhi hai , ye duniya masumon ka fayda uthati hai…
jo ladki jinti hi masoom aur acchi hoti hai , ye use utni hi badi saza sunati hai…..
bas isliye tumhari fikar karta hu.. tumhari galtion pr rooth jata hu…
magar jab tum mujhse roothti ho to sach jano mai andar se toot jata hu…
tumhe paya hai maine na jane kitni taklifo ke baad…
kabhi bhoole se bhi tum chhod na dena mera sath…
meri har choti chot baat pr gussa na kiya karo……
gusse me agar kuch keh deta hun to un baton ko dil pr na liya karo…..
har waqt sochta hu mai tumhe.. tumhari fikar mujhe chain se jine nhi deti….
jab gussa karti ho to dil karta hai khud ko nashe me duba lun magar tumhari kasam mujh shrab pine nhi deti….
kisi gair ladki ka khyal bhi aaye to meri rooh mujh se hi rooth jati hai….
mai tumhe bhoolne ka khyal bhi dil me lau to sanso ki ladi mano toot c jati hai….
accha ab maaf bhi kardo mai mafi mang leta hu…
Tum kaho to apni tamam zindagi mai aaj hi tumhare naam kar deta hu…
mai wada karta hun mohhobut ke safar may tumko tanha na chodunga….
waffa karta rahunga waffa se mukh kabhi na modunga….
tum meri ho mare pyaar ki nishani ho…
tumse kiya hua wada kabhi na todunga….
ager kismat may hui judai to wada karta hun .. to tughse pahle apna dum todunga….
___________________________________________________________


Premak Sandesh

Post Bottom Ad

Pages